Friday, August 15, 2025

Jaya hai bharat ki bhartiya ki

Duniya ko bataa do 
 bhaarat mataa ki jaya
 bhaarat ki jeet ki kaamna
 duniyaa ki mohtaaj nahee 

 himaalay see oonchaai
 mahaasaagar see gahraayi
 aakash see bulandee
 aur gangaa kee sacchaa

i Daman ko raund ke damaktaa
 gulaami ko todd ke nikhartaa 
bharat raaj karta hai dilon pe 
jaya hai bhaarat ki bharteeya ki

© Ni part of this creation can be used in any form without written consent.


 

Ek baar jo bola tha tumne

ek baar jo bola tha tumne 
kaampte hothon se dheere se
 dil ko jama jaane wala wo ek lafz 
samay ruk sa gaya tha aur main bhi

 ek baar jo bola tha tumne 
 sard hawaon ko rukne ko
 aasmaanon ko thamne ko 
saanso ke beech ke pal me 

 Ek baar jo bola tha tumne
 mujhe aur tumhe ham kah kar 
mere sapno ko awaaj dekar 
mere geeton ko saaj dekar 

 wo ek lafz fir se bol dena 
meri bachi huee yaadon ko
 so jaayengi sukoon se fir 
meri saanse in hawaon me.

... Subodh 

© No part of this text can be published, used in any form witbout written consent.